Tuesday, July 16, 2013

Jalwa-e-jaanana , Bedam Shah Warsi جلوۂ جانانہ ۔ بیدم شاہ وارثیؒ


خدا جانے كھاں سے جلوۂ جاناں كھاں تك ھے
وھیں تك دیكھ سكتا ھے نظر جس كی جھاں تك ھے

ھم اتنا بھی نہ سمجھے عقل كھوئی دل گنوا بیٹھے
كہ حسن و عشق كی دنیا كھاں سے ھے كھاں تك ھے

زمیں سے آسماں تك ایك سناٹے كا عالم ھے
نھیں معلوم میرے دل كی ویرانی كھاں تك ھے

نیاز راز كی روداد حسن و عشق كا قصہ
یہ جو كچھ بھی ہے سب انكی ھماری داستاں تك ھے

خیال یار نے تو آتے ھی گم كر دیا مجھ كو
یھی ھے ابتدا تو انتھا اس كی كھاں تك ھے

زمیں سے آسماں تك، آسماں سے لامكاں تك ھے
خدا جانے ھمارے عشق كی دنیا كھاں تك ھے

سنا ھے ھم نے صوفیوں سے اكثر خانقاھوں میں
كہ یہ رنگین بیانی بیدمرنگیں بیاں تك ھے



The above recital by Abida Parveen lacks depth of feeling, however the words are special.


Khuda jaane kahan se jalwa-e-jaana kahan tak hai
waheen tak daikh sakta hai nazar jiss ki, jahan tak hai

hum itna bhi na samjhey, aql khoee dil gawa baithhe
yeh husn-o-ishq ki duniya, kahan se hai, kahan tak hai

zameen se aasman tak, aik sanatae ka aalam hai
nahi maloom merey dil ki, viraanee kahan tak hai

niaz-o-raaz ki roedaad, husn-o-ishq ka qissa
yeh jo kuchh bhi hai sub unki, humari, daastan tak hai

khayal-e-yaar ne to aatey hi, gum kar diya mujh ko
yehi hai iptida to, intiha uss ki, kahan tak hai

zameen se aasman tak, aasman se lamakaan tak hai
Khuda jaane humare ishq ki, duniya kahan tak hai

suna hai hum ne sufiyon se aksar khankaahon mein
yeh beyrangee bayanee, bedam rangee bayan tak hai

4 comments:

Tasawwuf said...

waheen tak daikh sakta hai, nazar jiss ki jahan tak hai...

bohatkhub. aur dusrey alfaaz mein... waheen tak daikh sakta hai, jahan tak daikhney ki koshish karta hai.

kuchh mehnat bhi lagti hai uss ki lagan mein.

Jeech said...

بہت خوب!

نیاز راز كی روداد حسن و عشق كا قصہ
یہ جو كچھ بھی ہے سب انكی ھماری داستاں تك ھے

Sounds secret services :)

ilizyonist said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Unknown said...

Really beautiful, the words touch the heart.nice share .