Wednesday, January 13, 2010

Tajdar-e-Haram : Ghulam Farid Sabri


minno suggested that we include this famous qawwali here so........

Tajdar-e-Haram
(Kingship of the House of God)


qismat mein meri chain say jeena likh day
doobay na kabhi mera safeena likh day
jannat bhi gawara hai magar mere liyeh
ay Qatib-e-tadqeer madina likh day

taajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam
hum ghareebon k din bhi sanwar jain gay

chashm-e-rehmat bakusha soo-e-manandaaz nazar
ay qureshi laqabi hashmi o muttalabi

taajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam ho karam

Ya Rasool Allah (SAW) ba ahwal e kharab e maa bibiin
Roo ba khaak uftaada am az sharmo isiyan dar zameen
Muznab e choon man na baashad dar tamami ummatat
Rehmatun bar haali ma ya Rehmatan Lil aalamiin (SAW)


taajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam

Kya tum se kahun ay Rab ke kunwar (SAW) tum jaanat ho mann ki batiya
kar fursat to aiy Ummi Laqab (SAW) kate na katat hain ab ratiya
tori deed mein sud bud sub pisri kab tak ye rahegi bekhabari
taa hema fighan duzdeeda nazar kabhi sun bhi to lo humri batiya

taajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam ho karam

kehna sabah Huzoor (SAW) se ki kehat hai ik gulam
bas ik nazar ho ek nazar ka sawal hai

ya Mustafa (SAW), ya Mujtaba(SAW), irham lana, dast e hama, bechara ra daamaan tui
man asiyam, man ajizam, man bekasam, haale mara, ya shafi e roze jaza (SAW) pursaan tui
ae mushqi be zanbar fishan, ae ke naseem e subh dam, ae charagar, zeeshan nafas
ae moonis e beemar e gham, ae qasid e farkhunda e tujh ko usi gul ki qasam

ey mushq bezam barzisha baiqe naseere subah dam

ey charagar essa nafas ey mulis e beemar e gham
ey qasid e farkhunda pe tujh ko usi gul ki qasam
in nilta ya rihas sabah youman ila ardil haram
baligh salami rouztan fihan Nabi al Mohtaram (SAW)

taajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam
hum ghareebon k din bhi sanwar jain gay
hami e beqasa kya kahay ga jahaan
aap ke dar se khaali agar jain ge

koi apna nahi gham ke maray hein hum
aap ke dar pe faryaad laye hein hum
ho nigah e karam warna choukhat pe hum
aap ka naam le le ke mar jain ge

ho nigah e karam...

maikasho aao aao madina chalein
aao madine chalein aao madine chalein...
dukh dard o alam sub kat'te hein hasnain ke sadqe bat'te hein
maikasho aao aao madina chalein
aao madine chalein aao madine chalein...

tajallion ki ajab hai faza madine mein
nigah-e-shouq ki hai intiha madine mein
gham-e-hayat na khouf-e-qaza madine mein
namaaz-e-ishq karin ge adaa madine mein

idhar udhar na bhatak'te phiro khuda ke liyeh
barah-e-rast hai raah-e-khuda madine mein
madein chalein aao madine chalein aao madine chalein
maikasho aao aao madina chalein dast-e-saqi-e-kauser se pene chalein

yaad rakho agar uth gayi ik nazar, jitne khali hein sub jaam bhar jain ge
khouf-e-toofan hai bijlion ka hai dar, sakht mushkil hai aaqa kidhar jain hum
aap he gar na lain ge hamari khabar, hum musibat ke maray kidhar jain ge

taajdar e haram.

http://www.pakizm.com/nusrat/tajdareharam.htm

1 comment:

Minno said...

Thank you for including this qawwali. I would also like to suggest another that is beautiful and always brings tears to my eyes; BHAR DO JHOLI MERI YA MOHAMMED. It is recited by numerous but to perfection by the Sabri Brothers again.

Rgds